Skip to content

Interview Questions Practice – Govt aur Private Jobs ki Tayari

Sawal 100:00
Sawal load ho raha hai…

Tip: Har sawal par pehle khud jawab sochein, timer chalne dein, phir model answer parhein. Interview mein jawab 30 se 60 second ke darmiyan hona chahiye — na bohat chhota, na bohat lamba.

Interview Ki Tayari Kaise Karein?

Pakistan mein zyada tar umeedwar written test to pass kar lete hain lekin interview mein reh jate hain. Wajah qabiliyat ki kami nahi hoti — balke ye hoti hai ke unhon ne kabhi apne jawab bol kar practice hi nahi ki hoti. Interview mein aap ko sochne ka waqt nahi milta, is liye pehle se tayari zaroori hai.

Ye tool aapko mukhtalif categories ke asli interview sawalat deta hai, sath mein model answer bhi jo bata deta hai ke jawab mein kya kya cheezein honi chahiyein. Har sawal par timer chalta hai taake aapko andaza ho ke aap kitni der bol rahe hain.

Is Tool ko Behtareen Tareeqe se Kaise Istemal Karein

Sab se pehle apni category chunein. Sawal saamne aate hi model answer par foran na jayein — pehle khud apna jawab sochein aur bol kar bhi dekhein. Chahein to neeche diye gaye box mein apna jawab likh lein. Uske baad “Model Answer Dekhein” par click karein aur dekhein ke aapke jawab mein kya kami reh gayi.

Aik hi din mein sab kuch na karein. Rozana 10 se 15 sawal karein aur interview se pehle poori list do ya teen dafa dohra lein. Jawab ratta na lagayein — sirf points yaad rakhein aur apne alfaaz mein bolein, warna jawab bana banaya lagta hai.

Interview ke Aam Usool

Waqt se 15 minute pehle pohanchein. Kapre saaf aur formal hon. Panel mein daakhil hote waqt salam karein aur ijazat le kar baithein. Jawab dete waqt aankhon mein aankhein daal kar baat karein, lekin ghoorein nahi. Agar kisi sawal ka jawab nahi aata to seedha keh dein ke “Sir, is ke baare mein mujhe maloomat nahi hain” — jhooti baat banane se panel foran samajh jata hai.

Apne CV mein jo kuch likha hai, us ke baare mein har sawal ka jawab tayar rakhein — panel aksar wahin se sawal karta hai. Agar aapne abhi tak CV nahi banaya to hamara free CV Maker istemal karein, aur apply karne se pehle CV Match Checker se dekh lein ke aapka CV job ke sath match karta hai ya nahi.

FAQs

Kya ye sawal asli interviews mein aate hain?

Ye sawal un mauzuaat par based hain jo Pakistan mein govt aur private interviews mein aam tor par pooche jate hain. Har interview alag hota hai, lekin in sawalat ki tayari se aap zyada tar surtehaal ke liye tayar ho jate hain.

Jawab Urdu mein dun ya English mein?

Jis zubaan mein sawal poocha jaye, usi mein jawab dein. Agar panel English mein baat kar raha hai to English mein jawab dein — lekin agar English kamzor hai to saaf Urdu behtar hai bajaye ghalat English ke. Kai panels khud kehte hain ke jis zubaan mein aaram ho, us mein bolein.

Sab se ahem sawal kaunsa hota hai?

“Apna taaruf karwaein” — kyunki yehi pehla asar banata hai. Is ka jawab 45 se 60 second ka hona chahiye jismein aapki taleem, tajurba aur ye ke aap is job ke liye kyun mozoon hain, teenon aa jayein.

Kya ye tool free hai?

Ji haan, bilkul free hai. Na signup, na koi fees.

Daily Jobs